Posts

Kuch English Ke Font Jo Hindi Ki Tarah Dikhane Wale Hai?

Image
English font that look like hindi - हिंदी की तरह दिखने वाला अंग्रेजी फॉन्ट? Yaha me aapko kuch latin font dikhane ja raha hu jo apne aapme devnagri ka design dikhate hai.yeh bahut hi famous font hai jo dekhne me bilkul hindi ki tarah lagte hai lekin hai ye angreji me hi, or inki demand bhi bahut jyada hai. Devnaagri style ke in fonts ka use mukhy roop se decorate karne , Indian history ka effect dikhane or art dikhne ke liye kiya jata hai. Bahut jagah is font ka use kiya jata hai. Inme sabse jyada yeh kisi book ka name likhne,Sanskrit or hindi language se related kitaabe or kisi store ya fir showroom ka naam likhne me adhik kiya jata hai. Yaha hum dekh sakte hai ki showroom ka naam ek samkaran naam ke font se likha gaya hai. Is font ki ek mukhy visheshta yeh hai ki isme ek samaan line hoti hai jo sabhi words ko hindi font se jodkar dikhati hai .yeh line hindi font ke roop me pure shbd ko jode rakhti hai or iski sundarta badhaati hai. Is font me ek or vishesh baat hai jo user ko bah

Free download "Hindi fonts" for logo design.

Image
Aajkal Kisi bhi type ka logo design karna ek creative or bahut hi mushkil kaam ho gaya hai .hume apne kisi bhi naye start-up ke liye ek acche se design wale LOGO ki talaash rehti hi hai.ek good LOGO wahi mana jata hai jise dekhte hi users par positive prbhaav pade.yeh kisi bhi company ke bare me batayi jane wali pehli jhalak hoti hai jise dekhkar user ke man me ek image banti hai. .kai saare artist hai jo market me roj bahut saare start-up or companies ke liye LOGO design karne me lage huye hai.  Inme se kuch awesome logo bhi hote hai jo devnagri fonts ke upyog se banaye gaye hai lekin agar hum simple se lagne wale boards or hordings par bahut jyada paisa kharch nahi karna chahte hai to hume devnagri ke kisi impressive font ko hi select karna padega. hindi language ke liye kisi bhi randon font ka use karna bahut hi sasta tarika lagta hai jo purana bhi ho gaya hai . Yaha kuch font diye gaye hai jo hamare daily life me bahut hi common use hote hai .inki hi type ke kuch other hindi fon

Android hindi font desktop computer ke liye?

Image
Android ke gadgets me devnagri aaj bhi ek modern Unicode font mana jata hai. Android mobile ke har featuers or application me isi hindi font ka use bahut hi common roop me kiya jata hai. Yeh minimal font bahut kam size me bhi dikhne layak hota hai . is font ka pryog kewal android devices me hone ki wajah se iska use sirf un gadgets tak hi simit reh gaya hai jo hamare hand me available hote hai.lekin jab hume personal computer ke liye hindi font chahiye tab kya karna padega- Jaise hum android me hindi font ka use karte hai theek usi prkaar se window me bhi hindi font ka use aasaani se kar sakte hai.yaha ek true font download karne ke liye free available karaya gaya hai.ab yadi aap ek modern hindi font chahte hai jiska use ab tak kewal mobile or tablet me hota aaya hai wo ab yaha par uplabdh hai. Iske liye aap sabse pehle Yeh font download kare or fir apne system me ise install kar le, iske baad jo regular devnagri hindi font aap ab tak use karte aa rahe hai uski jagah yeh font selec

My New Devnagri Typeface Designing Blog?

Image
Hello friends,  mere blog devnagri typeface designing par aapka swagat hai- my name is Shrawan K Vaishnav. Yeh hindi devnagri fonts ka mera naya blog hai .yaha se lagbhag har type ka hindi font download kiya ja sakta hai .hindi pure world me boli jane wali language hai.yaha aapko bahut saare devnagri fonts milenge jo hindi,Marathi,nepali ke sath–sath Sanskrit language ke bhi font milenge. Is tarah se bahut saare devnagri ke fonts yaha se download karne ko available hai. Yaha maine bahut saare fonts ko alag-alag category me divide kiya hua hai jisse user ko jo chahiye wo aasani se mil jaye or time bhi kam se kam lage. Top devnagri fonts hai: 28 most creative hindi fonts 10 beautiful unic hindi fonts 10 most official hindi fonts 14 font tough look ke liye 10 devnagri font for website designing 15 font for handwriting style 30 attractive hindi fonts 32 my favourite hindi fonts 999 isme noteable hindi font hai Mere Fonts hai:  Rough Latin font Other Fonts: 1) Newspaper fonts 2) H

Liza Hindi font with Gujarati script effect?

Image
Hello Friends, abki baar me aap logo ke liye lekar aaya hu hindi language me ek or font jiski script bahut jyada effective hai . jaisa ki hum hindi ke devnagri or arabi languages ke latin font ke bare me pehle bhi charcha kar chuke hai, hamara yeh font bhi devnagri par hi based hai .pehli baar me dekhne par yeh kisi hindi bhasake font ki jagah gujrati font adhik lagta hai !yeh font minimum font ki category me rakha ja sakta hai. Hindi or gujrati font waise to kafi similar hote hai lekin unme se kuch word aise hai jo thode se unfamiliar lagte hai . is font ke kai word to without upper common line likhe hote hai jo in dono language ke beech ke bade antar ko dikhata bhi hai. Is font ki sabse badi baat yeh hai ki yeh other fonts ke alawa bahut hi simple lagta hai. Jabki other fonts dusri kisi bhi language me jaane par bahut jyada complex ho jate hai. Is font ka naam Liza hai or yeh koi naya font nahi hai lekin aaj bhi iska use bahut kam logo ko pata hai or iska bahut hi common use bhi nah