Android hindi font desktop computer ke liye?
Yeh minimal font bahut kam size me bhi dikhne layak hota hai . is font ka pryog kewal android devices me hone ki wajah se iska use sirf un gadgets tak hi simit reh gaya hai jo hamare hand me available hote hai.lekin jab hume personal computer ke liye hindi font chahiye tab kya karna padega-
Jaise hum android me hindi font ka use karte hai theek usi prkaar se window me bhi hindi font ka use aasaani se kar sakte hai.yaha ek true font download karne ke liye free available karaya gaya hai.ab yadi aap ek modern hindi font chahte hai jiska use ab tak kewal mobile or tablet me hota aaya hai wo ab yaha par uplabdh hai.
Iske liye aap sabse pehle Yeh font download kare or fir apne system me ise install kar le, iske baad jo regular devnagri hindi font aap ab tak use karte aa rahe hai uski jagah yeh font select kar le. Normally ab tak win 7 or uska old version devnagri ke default version ko hi use karta aaya hai.agar aap bhi yeh platform use kar rahe hai to notasons devnagri aapke current mangal font ko badal dega.
NOTOSANS DEVNAGRI:-
(Important: Please read attached file before installation).