Posts

Showing posts with the label Stylish Fonts

Free download Kare most used professional hindi font?

Aaj hum baat karenge un hindi fonts ke bare me jo officially bahut jyada use kiye jate hai.ye fonts aasani se samajh me aate hai or isiliye inka long sentence me use bhi kiya jata hai. In fonts ke bare me ek baat to clear hai ki ye bahut simple hote hai or inko decorative bhi nahi dikhaya jata hai matlab inme bold look ya kisi extra accessories ko add nahi kiya jata hai. In fonts ka adhik upyog sarkari offices jaise electricity or water bord aadi ke bill, official notice bhejne aadi me kiya jata hai.waise to hindi ke Unicode font ka pryog online or official purpose ki hard copy ke print lene ke roop me kiya jata hai lekin kahi-kahi hum dekhte hai ki lgaatar kisi ek hi font ka use karna thoda boaring sa lagne lagta hai or dusre type ke hindi font ka bhi use kahi-kahi kar liya jata hai. Apne topic or uski heading me change karke aap reader ya user ko bahut lambe samay tak special effect dalkar attract bhi kar sakrte hai. Kisi bhi document ki hard copy ya print nikalne ke liye sirf hindi

Free download "Sanskrit and vedic fonts"???

Sanskrit language ke fonts me hindi ki devnagri lipi ki apeksha adhik matra me aadhe shbad or adhik jagah rokne wale word jyada paaye jaate hai.isiliye jab bhi koi Sanskrit ka shlok likha ya padha jata hai to yeh dekhne me aata hai ki kisi bhi ek shlok ko samany devnagri ki ek hi font wali language me likhna bahut hi mushkil kaam hai. Yaha tak ki Unicode font ka use karne par bhi hamare liye wahi mushkil hogi or wo hi situation banegi.ab question yeh hai ki kya koi aisa tarika bhi hai jisse system me bina kisi galti ke Sanskrit ka shlok as it is likh diya jaye- Iska ek hi samaadhan hai wo ye ki paramparagat hindi devnagri font ki jagah sanskrit font ka adhik use kiya jaye.ji haa ab hum sansrit language me bhi kisi sentence ko aasaani se likh sakte hai.bus iske liye hamare pass perfect Sanskrit font install hona chahiye kyonki brahmi lipi ke sath mangal or Unicode font thoda sa uncomfortable rehta hai. Ab tak humne devnagri hindi font ke liye hindi ke remigton keybord ke hi lay-out ka

Free Me Download Kare Anatomy of Hindi Font Design?

Devnagri script ki sabse badi visheshta yahi hai ki hum iski upyogita ko aadtan maan chuke hai matlab yeh hamari habbit me aa chuki hai ,iska sabse bada disadvantage yeh hai ki hum is script ke hum iske technical or scientist factor ko to ignore hi kar dete hai. Kisi bhi script ko deeply janne se us lipi ke bare me detail me or adhik pata chalta hai or uski nayi-nayi baate hamare saamne aati hai.isse us bhasha ke critical words bhi hamari samajh me aate hai or us language ki knowledge or bhi jyada increase hoti hai.neeche di hui anatomy ki image ki help se hum kisi bhi devnagri word ki real situation aasaani se trace kar sakte hai - Upar di gayi image se aapko pata chalta hai ki devnagri me kisi bhi word ko aage ,piche, beech me ya fir matra ke sath likhe jane par uski kya sthiti banegi or us word ka kya mehtv rahega.yeh image kisi bhi word ko base line se upper line tak ki actual place ko show karti hai or sath hi link provide karte huye uska ascending or descending order bhi conform

Free Me Download Kare Most Creative and Calligraphic Hindi Font?

Kisi bhi paint brush se banaya gaya koi text material ek typewriter se accha look deta hai.creativity ko add karne se jo establish pattern hai wo bhi thoda modern ho jata hai.yeh sab nai cheeje hai jo pehle kisi text me newness lane ke liye use nahi ki gayi hai. Kabhi-kabhi hume kisi free hand feel karane wale font ki aavshykta hoti hai jisse user ko bhi ek creative environmental feel hota hai.koi bhi artist yeh test tayaar kar sakta hai.is process me time kam lagta hai or har kisi ke liye aisa font banana mushkil kaam hai.aaj har koi kaam ko teji se or easy way me karna chahta hai.iske liye hum apne font selection ko test karte hai.iske liye hume koi discipline or ready to use type ke font ki bahut aavshykta padti hai. Yaha hum ek aise text ki baat kar rahe hai jo real me creative ho or sath hi usme ek caliagraphic sense ka bhi reflection ho.hume pata hai ki hamaare ab tak use me laye jane wale font complete roop se caliagraphic look nahi dete hai or ye hamare daily use kiye ja rahe

Free download kare Corner design font for decorative border?

Decoration kisi bhi festival ya marriage ki ek common activity hoti hai inko important bana deti hai ,specially shaadi ke wo card or gift jo hum ek-dusre ko bhejte hai.or bhi kai prkaar ke banner or papers me hume yeh decorative things dekhne ko mil hi jati hai.kisi bhi paper ya banner ko decorate karne ke liye hum sabse pehle kya karenge. Kisi bhi material ke corner or border par decoration ka waork sabse jyada note kiya jata hai or inse hi kisi printed paper ko attractive look milta hai.sabse pehle saavdhani se koi bhi design select kare.iske baad font ka sahi selection karke hum apna kaam adhik teji se kar sakte hai.iske baad hum in design par aasaani se kaam kar sakte hai. Font ka use karne ke baad bhi hum kisi shadow effect ke roop me ise use le sakte hai.font ka use karne ka sabse bada benefit to yahi hai ki hum aasani se is font jaise or bhi kai design par kaam kar sakte hai.Yeh decorative design or creativity aap aasaani se pryog kar sakte hai. Yaha maine vector design ke liye

Color font extension - font ki history me nayi generation.

Ab kisi bhi window ya operating system ke liye colour font free me download kare. Jaisa ki aap sabko pata hai ki june-2013 me Microsoft build developer k ek sammelan me khulasa hua tha ki, window 801 me preview open type font standard ke sath aata hai jo multi-colour fonts available karwata hai.yeh technogy simple or powerful dono hi type ke multilier glyfs ka use bhi karti hai or scable outlines me hota hai.yeh kisi any character ki tarah render or process karta hai.bus isme every layer ka ek apna colour hota hai. Is colour extension ki sabse badi beauty yahi hai ki yeh kisi any fonts ki tarah kaam karna lgaatar jari rakhta hai jabki dusre sabhi fonts me yeh device or systems support nahi karte hai. Or abhi tak aise colour font banaye bhi nahi gaye hai.lekin fir bhi hum window 8.1 me inhe get and use kar sakte hai.yadi aapke pass bhi window 8.1 hai to aap bhi puri tarah in fonts ka use kar sakte hai.jabki isse pehle ka operating system kewal ek hi color font ka use kar pata tha.kyonk

Free download stylish decorative 999 hindi font?

Ab aapko old type ke or boring mangal font ke sath bilkul bhi adjustment nahi karna padega or aapko beautiful or stylish hindi font bhi ek hi single place par mil jayenge.Yaha bahut saare unique hindi font ka unke preview ke sath bahut bada collection diya gaya hai.bas mouse ke ek single click karke aap inhe free me download kar sakte hai.yaha aapki presentation or website ke liye bahut hi bade collection ke sath hindi font diye gaye hai.inki help se aap apne hindi text ki headings ko or bhi jyada beautiful or attractive bana sakte hai.is collection se aap wah font select kar sakte hai jis kaam ke liye aapka font ekdam perfect ho. Aisa kai baar dekhne me aata hai ki kisi ek font ka baar-baar use hone par bhi kisi ek main font ko bahut kam jagah par use kiya jata hai aisa isliye ki uski attractiveness bani rahe or wah kisi writer or reader ke liye boring font nahi ban jaye.online data or printout jaise kaam ke liye ek decorative font rakhna ek good idea ho sakta hai.or ek common hindi

Wedding ke liye symbol or font download kare?

Image
Aajkal decoration kisi bhi Indian marriage ka sabse important part banta chala ja raha hai. Shaadi me log Log apne ghro se lekar,garden,vehicles,open-space or sadak tak sab kuch decorate karte hai. kuch log apne house ki wall par unique or beautiful paintings bhi banwate hai. yaha tak ki invitation card par bhi aise symbol print karwaye jaate hai. ganesha symbol ke alawa or bhi kai best symbols hai jo in sabko dekhne me sundar look dete h. Mujhe shaadi ke symbol se related ek shaandaar font mila hai jisme shaadi ke bahut saare traditional design hai. inme se most hai-deepak, kalash, dholak or swastika aadi.ye sab symbol kisi printed material ko shaandar look de dete hai jaisekisi marriage ka invitation card par print hota hai.. Iske liye aapko bus yeh font download karna hai or apne system me install karna hai. iske baad aap is symbol font ka use karke bina kisi image ka use kiye aasani se apne effect dikha sakte hai. is font ka use karke aap sabse pehle iska size set kare .isme aap

Push and Pull Stickers in Hindi?

Image
Ab Aap bhi apne glass ke darwaje par push or pull ke text ko naya look de sakte hai.yeh sabhi offices jaha hindi ka use common roop me hota hai, waha bahut upyogi tarika hai.yaha hindi style ka ek pura collection diya gaya hai jo bahut useful hai.inme se kuch to dono hi language hindi or English ke liye bane hai.isme push or pull par dono hath bane huye hai or yeh isi ke liye symbol bhi hai. In stickers ko hum teen category me divide kar sakte hai.inme round, square or hanging type ka sticker adhik chalan me hai. latkate huye sticker par to round or square dono ka hi use kahi bhi kiya ja sakta hai.restourent or shopping palace par iska adhik effect padta hai.ye sabhi images 2500 pxs se adhik hai jo premium print me dekhne par awesome lagte hai. In images ko save bhi kiya ja sakta hai or inki print bhi le sakte hai.high quality ka vector high resolution or accha pixel deta hai.aap jis sticker ka bhi use karna chahte hai wo image click karte hi wo size me inlarge ho jayegi or phir aap i

Kuch English Ke Font Jo Hindi Ki Tarah Dikhane Wale Hai?

Image
English font that look like hindi - हिंदी की तरह दिखने वाला अंग्रेजी फॉन्ट? Yaha me aapko kuch latin font dikhane ja raha hu jo apne aapme devnagri ka design dikhate hai.yeh bahut hi famous font hai jo dekhne me bilkul hindi ki tarah lagte hai lekin hai ye angreji me hi, or inki demand bhi bahut jyada hai. Devnaagri style ke in fonts ka use mukhy roop se decorate karne , Indian history ka effect dikhane or art dikhne ke liye kiya jata hai. Bahut jagah is font ka use kiya jata hai. Inme sabse jyada yeh kisi book ka name likhne,Sanskrit or hindi language se related kitaabe or kisi store ya fir showroom ka naam likhne me adhik kiya jata hai. Yaha hum dekh sakte hai ki showroom ka naam ek samkaran naam ke font se likha gaya hai. Is font ki ek mukhy visheshta yeh hai ki isme ek samaan line hoti hai jo sabhi words ko hindi font se jodkar dikhati hai .yeh line hindi font ke roop me pure shbd ko jode rakhti hai or iski sundarta badhaati hai. Is font me ek or vishesh baat hai jo user ko bah

Free download "Hindi fonts" for logo design.

Image
Aajkal Kisi bhi type ka logo design karna ek creative or bahut hi mushkil kaam ho gaya hai .hume apne kisi bhi naye start-up ke liye ek acche se design wale LOGO ki talaash rehti hi hai.ek good LOGO wahi mana jata hai jise dekhte hi users par positive prbhaav pade.yeh kisi bhi company ke bare me batayi jane wali pehli jhalak hoti hai jise dekhkar user ke man me ek image banti hai. .kai saare artist hai jo market me roj bahut saare start-up or companies ke liye LOGO design karne me lage huye hai.  Inme se kuch awesome logo bhi hote hai jo devnagri fonts ke upyog se banaye gaye hai lekin agar hum simple se lagne wale boards or hordings par bahut jyada paisa kharch nahi karna chahte hai to hume devnagri ke kisi impressive font ko hi select karna padega. hindi language ke liye kisi bhi randon font ka use karna bahut hi sasta tarika lagta hai jo purana bhi ho gaya hai . Yaha kuch font diye gaye hai jo hamare daily life me bahut hi common use hote hai .inki hi type ke kuch other hindi fon

Android hindi font desktop computer ke liye?

Image
Android ke gadgets me devnagri aaj bhi ek modern Unicode font mana jata hai. Android mobile ke har featuers or application me isi hindi font ka use bahut hi common roop me kiya jata hai. Yeh minimal font bahut kam size me bhi dikhne layak hota hai . is font ka pryog kewal android devices me hone ki wajah se iska use sirf un gadgets tak hi simit reh gaya hai jo hamare hand me available hote hai.lekin jab hume personal computer ke liye hindi font chahiye tab kya karna padega- Jaise hum android me hindi font ka use karte hai theek usi prkaar se window me bhi hindi font ka use aasaani se kar sakte hai.yaha ek true font download karne ke liye free available karaya gaya hai.ab yadi aap ek modern hindi font chahte hai jiska use ab tak kewal mobile or tablet me hota aaya hai wo ab yaha par uplabdh hai. Iske liye aap sabse pehle Yeh font download kare or fir apne system me ise install kar le, iske baad jo regular devnagri hindi font aap ab tak use karte aa rahe hai uski jagah yeh font selec

My New Devnagri Typeface Designing Blog?

Image
Hello friends,  mere blog devnagri typeface designing par aapka swagat hai- my name is Shrawan K Vaishnav. Yeh hindi devnagri fonts ka mera naya blog hai .yaha se lagbhag har type ka hindi font download kiya ja sakta hai .hindi pure world me boli jane wali language hai.yaha aapko bahut saare devnagri fonts milenge jo hindi,Marathi,nepali ke sath–sath Sanskrit language ke bhi font milenge. Is tarah se bahut saare devnagri ke fonts yaha se download karne ko available hai. Yaha maine bahut saare fonts ko alag-alag category me divide kiya hua hai jisse user ko jo chahiye wo aasani se mil jaye or time bhi kam se kam lage. Top devnagri fonts hai: 28 most creative hindi fonts 10 beautiful unic hindi fonts 10 most official hindi fonts 14 font tough look ke liye 10 devnagri font for website designing 15 font for handwriting style 30 attractive hindi fonts 32 my favourite hindi fonts 999 isme noteable hindi font hai Mere Fonts hai:  Rough Latin font Other Fonts: 1) Newspaper fonts 2) H

Liza Hindi font with Gujarati script effect?

Image
Hello Friends, abki baar me aap logo ke liye lekar aaya hu hindi language me ek or font jiski script bahut jyada effective hai . jaisa ki hum hindi ke devnagri or arabi languages ke latin font ke bare me pehle bhi charcha kar chuke hai, hamara yeh font bhi devnagri par hi based hai .pehli baar me dekhne par yeh kisi hindi bhasake font ki jagah gujrati font adhik lagta hai !yeh font minimum font ki category me rakha ja sakta hai. Hindi or gujrati font waise to kafi similar hote hai lekin unme se kuch word aise hai jo thode se unfamiliar lagte hai . is font ke kai word to without upper common line likhe hote hai jo in dono language ke beech ke bade antar ko dikhata bhi hai. Is font ki sabse badi baat yeh hai ki yeh other fonts ke alawa bahut hi simple lagta hai. Jabki other fonts dusri kisi bhi language me jaane par bahut jyada complex ho jate hai. Is font ka naam Liza hai or yeh koi naya font nahi hai lekin aaj bhi iska use bahut kam logo ko pata hai or iska bahut hi common use bhi nah